raaton mein jagne ke liye aur chain khone ke liye
raaton mein jagne ke liye aur chain khone ke liye
Ritu Singh Rajput Rit
MORE BYRitu Singh Rajput Rit
rātoñ meñ jagne ke liye aur chain khone ke liye
ham ne mohabbat yaar key bīmār hone ke liye
kal ham ne jab taare gine aur guftugū key chāñd se
saare charāġhoñ ne kahā thā ham se sone ke liye
ham be-sabab Takrā ga.e the ishq ke tūfān se
thā TūTnā bhī lāzmī ḳhud ko sañjone ke liye
nūr-e-jahāñ haiñ aur bhī shīrīñ-zabāñ haiñ aur bhī
ik ham hī kyoñ us ko mile phir jaadū Tone ke liye
is zindagī ke ġham kā kyā hai aaj hai kal ho na ho
phir kyoñ gavā.eñ vaqt ham kuchh ḳhvāb bone ke liye
sach meñ unheñ bhī ishq hai ham se ajī ye kyā kahā
ya.anī ki vo bhī aa ga.e barbād hone ke liye
ab duur hote jā rahe haiñ 'rīt' ham se rishta sab
dhāgā koī ab chāhiye rishta pirone ke liye
raaton mein jagne ke liye aur chain khone ke liye
hum ne mohabbat yar key bimar hone ke liye
kal hum ne jab tare gine aur guftugu key chand se
sare charaghon ne kaha tha hum se sone ke liye
hum be-sabab Takra gae the ishq ke tufan se
tha TuTna bhi lazmi KHud ko sanjone ke liye
nur-e-jahan hain aur bhi shirin-zaban hain aur bhi
ek hum hi kyon us ko mile phir jadu Tone ke liye
is zindagi ke gham ka kya hai aaj hai kal ho na ho
phir kyon gawaen waqt hum kuchh KHwab bone ke liye
sach mein unhen bhi ishq hai hum se aji ye kya kaha
yani ki wo bhi aa gae barbaad hone ke liye
ab dur hote ja rahe hain 'rit' hum se rishta sab
dhaga koi ab chahiye rishta pirone ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.