raaz aashkara hai ab gham-e-nihan apna
raaz āshkārā hai ab ġham-e-nihāñ apnā
aah ye sukūt āḳhir ban gayā bayāñ apnā
husn aur ġham-ḳhvārī ḳhvāb hai ki bedārī
hai hanūz kuchh baaqī shāyad imtihāñ apnā
kab huī talāsh un ko kho ga.e jab aise ham
ḳhud hameñ nahīñ miltā naam ko nishāñ apnā
lutf-e-zindagī kaisā sair-e-gulsitāñ kaisī
hai vo ab qafas apnā thā jo āshiyāñ apnā
ārzūeñ ghuT ghuT kar dil hī meñ raheñ kab tak
luuT le koī rahzan kaash kārvāñ apnā
aa na jaa.e harf ik din un kī be-niyāzī par
tā-kujā mohabbat meñ aap imtihāñ apnā
dil kī baat kī jaa.e kis se phir sivā.e dil
jab nahīñ yahāñ 'kaukab' koī rāz-dāñ apnā
raaz aashkara hai ab gham-e-nihan apna
aah ye sukut aaKHir ban gaya bayan apna
husn aur gham-KHwari KHwab hai ki bedari
hai hanuz kuchh baqi shayad imtihan apna
kab hui talash un ko kho gae jab aise hum
KHud hamein nahin milta nam ko nishan apna
lutf-e-zindagi kaisa sair-e-gulsitan kaisi
hai wo ab qafas apna tha jo aashiyan apna
aarzuen ghuT ghuT kar dil hi mein rahen kab tak
luT le koi rahzan kash karwan apna
aa na jae harf ek din un ki be-niyazi par
ta-kuja mohabbat mein aap imtihan apna
dil ki baat ki jae kis se phir siwae dil
jab nahin yahan 'kaukab' koi raaz-dan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.