raaz ashkon ka chhupaun to chhupa bhi na sakun
raaz ashkoñ kā chhupā.ūñ to chhupā bhī na sakūñ
aur jalte hue dāman ko bachā bhī na sakūñ
jaane kyā ġhair kī mahfil meñ hai sāmān-e-nashāt
dil-o-jāñ de ke jo tere liye lā bhī na sakūñ
ai mire azm-e-safar kyā tujhe maut aa.ī hai
shahr-e-qātil meñ na rah pā.ūñ to jā bhī na sakūñ
shauq-e-bebāk ne sochā na thā sajdoñ kā ma.aal
ġhairat-e-vaz.a se ab sar ko uThā bhī na sakūñ
terī baḳhshish kā ye andāz hai kyā ai saaqī
be-piye bhī na bane jaam uThā bhī na sakūñ
dast-e-mahbūb pe bhī rang-e-hinā baar huā
ḳhaak meñ ḳhūn-e-tamannā ko milā bhī na sakūñ
kahnā ḳhāmoshī-e-sahrā se ye 'jauhar' kā payām
aisā majbūr nahīñ huuñ ki phir aa bhī na sakūñ
raaz ashkon ka chhupaun to chhupa bhi na sakun
aur jalte hue daman ko bacha bhi na sakun
jaane kya ghair ki mahfil mein hai saman-e-nashat
dil-o-jaan de ke jo tere liye la bhi na sakun
ai mere azm-e-safar kya tujhe maut aai hai
shahr-e-qatil mein na rah paun to ja bhi na sakun
shauq-e-bebak ne socha na tha sajdon ka maal
ghairat-e-waza se ab sar ko uTha bhi na sakun
teri baKHshish ka ye andaz hai kya ai saqi
be-piye bhi na bane jam uTha bhi na sakun
dast-e-mahbub pe bhi rang-e-hina bar hua
KHak mein KHun-e-tamanna ko mila bhi na sakun
kahna KHamoshi-e-sahra se ye 'jauhar' ka payam
aisa majbur nahin hun ki phir aa bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.