raaz dil ka yun khula qirtas par
raaz dil kā yuuñ khulā qirtās par
ek aañsū gir gayā qirtās par
ik bharam thā yuuñ zabāñ na khul sakī
aur sab kuchh kah diyā qirtās par
sach ko dekhā lafz gūñge ho ga.e
kis tarah detī sadā qirtās par
thiiñ mulāqāteñ bhī kāġhaz kī tarah
ho rahā hai fāsla qirtās par
merī rūdād-e-ġham-e-ulfat sunī
aur qalam bhī ro diyā qirtās par
aane vāloñ ke jigar chhalnī na hoñ
likh do aisā falsafa qirtās par
lafz sadiyoñ se rahe nauha-kunāñ
vaqt se maiñ ne kahā qirtās par
ḳhāmushī kī chīḳh thī lafzoñ meñ aur
dard ne sab kah diyā qirtās par
ḳhud likhā aur ḳhud hī ḳhud ko paḌh liyā
mil gayā hai rāsta qirtās par
bas haqīqat thī qalam thā haath meñ
ho gayā sab aa.ina qirtās par
tū ne bhī duniyā se muñh moḌā 'nasīm'
aur qalam bhī chal diyā qirtās par
raaz dil ka yun khula qirtas par
ek aansu gir gaya qirtas par
ek bharam tha yun zaban na khul saki
aur sab kuchh kah diya qirtas par
sach ko dekha lafz gunge ho gae
kis tarah deti sada qirtas par
thin mulaqaten bhi kaghaz ki tarah
ho raha hai fasla qirtas par
meri rudad-e-gham-e-ulfat suni
aur qalam bhi ro diya qirtas par
aane walon ke jigar chhalni na hon
likh do aisa falsafa qirtas par
lafz sadiyon se rahe nauha-kunan
waqt se main ne kaha qirtas par
KHamushi ki chiKH thi lafzon mein aur
dard ne sab kah diya qirtas par
KHud likha aur KHud hi KHud ko paDh liya
mil gaya hai rasta qirtas par
bas haqiqat thi qalam tha hath mein
ho gaya sab aaina qirtas par
tu ne bhi duniya se munh moDa 'nasim'
aur qalam bhi chal diya qirtas par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.