raaz-e-darun se koi to parda uTha sake
rāz-e-darūñ se koī to parda uThā sake
dil se koī to dil kā ta'alluq batā sake
terī har ek baat pe jo sar jhukā sake
hai kaun merī tarh jo naḳhre uThā sake
dil meñ kisī ke koī kyoñ hotā hai jalva-gar
ai kaash is pe bhī koī pahra biThā sake
ik phuul us ke haath meñ hai is ḳhayāl se
bulbul ko mere sāmne nīchā dikhā sake
terī tabāh-kār javānī ke sāmne
dil ko kahāñ majāl ki vo taab lā sake
lākhoñ nuqūsh-e-māzī miTā.e to haiñ magar
dil se tumhārī yaad na hargiz miTā sake
raaz-e-darun se koi to parda uTha sake
dil se koi to dil ka ta'alluq bata sake
teri har ek baat pe jo sar jhuka sake
hai kaun meri tarh jo naKHre uTha sake
dil mein kisi ke koi kyon hota hai jalwa-gar
ai kash is pe bhi koi pahra biTha sake
ek phul us ke hath mein hai is KHayal se
bulbul ko mere samne nicha dikha sake
teri tabah-kar jawani ke samne
dil ko kahan majal ki wo tab la sake
lakhon nuqush-e-mazi miTae to hain magar
dil se tumhaari yaad na hargiz miTa sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.