raaz-e-dil aashkar hota hai
rāz-e-dil āshkār hotā hai
aadmī sharmsār hotā hai
jis pe un kī nigāh hotī hai
sāhab-e-eqtidār hotā hai
phuul dāman ko chaak karte haiñ
jab bhī ahd-e-bahār hotā hai
dil meñ armān jab nahīñ hote
hasratoñ kā mazār hotā hai
us kī rahmat ko pyaar aatā hai
jab koī sharmsār hotā hai
manzil-e-ishq tai jo kartā hai
banda-e-kirdgār hotā hai
yaad aatī hai jab kabhī un kī
har-nafas be-qarār hotā hai
un ke chehre ko dekh kar 'rāhī'
dil pe kab iḳhtiyār hotā hai
raaz-e-dil aashkar hota hai
aadmi sharmsar hota hai
jis pe un ki nigah hoti hai
sahab-e-eqtidar hota hai
phul daman ko chaak karte hain
jab bhi ahd-e-bahaar hota hai
dil mein arman jab nahin hote
hasraton ka mazar hota hai
us ki rahmat ko pyar aata hai
jab koi sharmsar hota hai
manzil-e-ishq tai jo karta hai
banda-e-kirdgar hota hai
yaad aati hai jab kabhi un ki
har-nafas be-qarar hota hai
un ke chehre ko dekh kar 'rahi'
dil pe kab iKHtiyar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.