raaz-e-dil kyun na kahun samne diwanon ke
rāz-e-dil kyuuñ na kahūñ sāmne dīvānoñ ke
ye to vo log haiñ apnoñ ke na begānoñ ke
vo bhī kyā daur the saaqī tire mastānoñ ke
rāste raah takā karte the mai-ḳhānoñ ke
bādaloñ par ye ishāre tire dīvānoñ ke
TukḌe pahuñche haiñ kahāñ uḌ ke garebānoñ ke
rāste band kiye dete ho dīvānoñ ke
Dher lag jā.eñge bastī meñ garebānoñ ke
na azaañ detā na hushiyār barahman hotā
dar to us shaiḳh ne khulvā.e haiñ but-ḳhānoñ ke
aap din-rāt sañvārā kareñ gesū to kyā
kahīñ hālāt badalte haiñ pareshānoñ ke
man.a kar girya-e-shabnam pe na ye phuul hañseñ
laale paḌ jā.eñge ai bād-e-sabā jānoñ ke
kyā zamāna thā udhar shaam idhar haath meñ jaam
sub.h tak daur chalā karte the paimānoñ ke
vo bhī kyā din the udhar shaam idhar haath meñ jaam
ab to raste bhī rahe yaad na mai-ḳhānoñ ke
aaj tak to mirī kashtī ne na paa.ī manzil
qāfile saiñkaḌoñ gum ho ga.e tūfānoñ ke
ḳhāk-e-sahrā pe lakīreñ haiñ unheñ phir dekho
kahīñ ye ḳhat na hoñ likkhe hue dīvānoñ ke
dekhiye charḳh pe taare bhī haiñ kyā be-tartīb
jaise bikhre hue TukḌe mire paimānoñ ke
haath ḳhālī haiñ magar mulk-e-adam kā hai safar
hausle dekhiye un be-sar-o-sāmānoñ ke
sar jhukā.e hue baiThe haiñ jo ka.abe meñ 'qamar'
aise hote haiñ nikāle hue but-ḳhānoñ ke
raaz-e-dil kyun na kahun samne diwanon ke
ye to wo log hain apnon ke na beganon ke
wo bhi kya daur the saqi tere mastanon ke
raste rah taka karte the mai-KHanon ke
baadalon par ye ishaare tere diwanon ke
TukDe pahunche hain kahan uD ke garebanon ke
raste band kiye dete ho diwanon ke
Dher lag jaenge basti mein garebanon ke
na azan deta na hushiyar barahman hota
dar to us shaiKH ne khulwae hain but-KHanon ke
aap din-raat sanwara karen gesu to kya
kahin haalat badalte hain pareshanon ke
mana kar girya-e-shabnam pe na ye phul hansen
lale paD jaenge ai baad-e-saba jaanon ke
kya zamana tha udhar sham idhar hath mein jam
subh tak daur chala karte the paimanon ke
wo bhi kya din the udhar sham idhar hath mein jam
ab to raste bhi rahe yaad na mai-KHanon ke
aaj tak to meri kashti ne na pai manzil
qafile sainkaDon gum ho gae tufanon ke
KHak-e-sahra pe lakiren hain unhen phir dekho
kahin ye KHat na hon likkhe hue diwanon ke
dekhiye charKH pe tare bhi hain kya be-tartib
jaise bikhre hue TukDe mere paimanon ke
hath KHali hain magar mulk-e-adam ka hai safar
hausle dekhiye un be-sar-o-samanon ke
sar jhukae hue baiThe hain jo kabe mein 'qamar'
aise hote hain nikale hue but-KHanon ke
- Book : Rashq-e-Qamar (Pg. 141)
- Author : Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat ali and Sons
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.