raaz-e-dil un par na ifsha kijiye
raaz-e-dil un par na ifsha kijiye
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
rāz-e-dil un par na ifshā kījiye
ārzūoñ ko na rusvā kījiye
ashk-e-sozāñ ko na chheḌā kījiye
aag paanī se na khelā kījiye
zer-e-ḳhanjar bhī na taḌpā kījiye
āfatoñ meñ muskurāyā kījiye
chupke chupke ḳhuub royā kījiye
yuuñ lagī dil kī bujhāyā kījiye
aap kī ulfat meñ sab kuchh kho chuke
ab kahāñ aañsū ki royā kījiye
lazzat-e-dard-e-nihāñ mil jaa.e gar
umr bhar phir aap taḌpā kījiye
phir kahāñ ye lazzat-e-soz-e-nihāñ
zaḳhm-e-dil kā kyoñ mudāvā kījiye
aarzū hī jab koī baaqī na ho
kyoñ kisī kī phir tamanna kījiye
ishq rusvā ai 'zakī' gar ho to ho
husn ko lekin na rusvā kījiye
raaz-e-dil un par na ifsha kijiye
aarzuon ko na ruswa kijiye
ashk-e-sozan ko na chheDa kijiye
aag pani se na khela kijiye
zer-e-KHanjar bhi na taDpa kijiye
aafaton mein muskuraya kijiye
chupke chupke KHub roya kijiye
yun lagi dil ki bujhaya kijiye
aap ki ulfat mein sab kuchh kho chuke
ab kahan aansu ki roya kijiye
lazzat-e-dard-e-nihan mil jae gar
umr bhar phir aap taDpa kijiye
phir kahan ye lazzat-e-soz-e-nihan
zaKHm-e-dil ka kyon mudawa kijiye
aarzu hi jab koi baqi na ho
kyon kisi ki phir tamanna kijiye
ishq ruswa ai 'zaki' gar ho to ho
husn ko lekin na ruswa kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.