raaz-e-gham ifsha karun ya raaz rakkhun raaz mein
raaz-e-gham ifsha karun ya raaz rakkhun raaz mein
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
rāz-e-ġham ifshā karūñ yā raaz rakkhūñ raaz meñ
hukm ho to kuchh sunā.ūñ aap kī āvāz meñ
tum ne hañs kar farq Daalā hai ye soz-o-sāz meñ
varna donoñ naġhma-zan the ek hī āvāz meñ
jab ye samjhā ġham kā har anjām ik āġhāz hai
maiñ ne ḳhud anjām shāmil kar liyā āġhāz meñ
maiñ to achchhā huuñ magar ai chārāgar ye to batā
farq kyoñ mahsūs kartā huuñ tirī āvāz meñ
ho chukī tarkīb-e-nāqūs-o-azāñ nā-kāmyāb
sochtā huuñ ab pukārūñ kaunsī āvāz meñ
aap se jab aap ke 'shādāñ' ko nisbat hī nahīñ
rabt kaisā hai ye us kī aap kī āvāz meñ
raaz-e-gham ifsha karun ya raaz rakkhun raaz mein
hukm ho to kuchh sunaun aap ki aawaz mein
tum ne hans kar farq Dala hai ye soz-o-saz mein
warna donon naghma-zan the ek hi aawaz mein
jab ye samjha gham ka har anjam ek aaghaz hai
main ne KHud anjam shamil kar liya aaghaz mein
main to achchha hun magar ai chaaragar ye to bata
farq kyon mahsus karta hun teri aawaz mein
ho chuki tarkib-e-naqus-o-azan na-kaamyab
sochta hun ab pukarun kaunsi aawaz mein
aap se jab aap ke 'shadan' ko nisbat hi nahin
rabt kaisa hai ye us ki aap ki aawaz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.