raaz-e-giraftagi na asir-e-lahn se puchh
rāz-e-giraftagī na asīr-e-lahn se pūchh
ye baat apnī zulf-e-shikan-dar-shikan se pūchh
āvārgī ke lutf na sarv-o-saman se pūchh
vahshat meñ kyā mazā hai havā-e-chaman se pūchh
mardān-e-haq kā azm shahīdān-e-haq kā jurm
dil-dādgān-e-sheva-e-dār-o-rasan se pūchh
kyā shām-e-ġham meñ dīda-o-dil par guzar ga.ī
un taaza vārdān-e-bisāt-e-kuhan se pūchh
lazzat-kashān-e-sāġhar-e-ishrat ko kyā ḳhabar
ranj-e-ḳhumār talḳhī-e-kām-o-dahan se pūchh
sahn-e-chaman meñ lāla-o-gul par tire baġhair
kyā kyā guzar rahī hai bahār-e-chaman se pūchh
āġhāz-e-irtibāt-o-ta.alluq ke vāqi.āt
kuchh apne hosh kuchh mire dīvāna-pan se pūchh
ai fasl-e-gul mizāj jarāhat-rasīdgāñ
gar ho sake to lāla-e-ḳhūnīñ kafan se pūchh
jo terī mashq-e-nāz se pāmāl ho gayā
apnā mizāj-e-nāz usī ḳhasta-tan se pūchh
afsāna-e-bahār asīr-e-qafas se sun
yād-e-vatan kā lutf kisī be-vatan se pūchh
ai dost ham se kufr-e-mohabbat kā dars le
asrār-e-kāfirī na but-e-barhaman se pūchh
ham bhī kabhī the anjuman-ārā-e-ārzū
us jān-e-bazm-o-zeb-dah-e-anjuman se pūchh
ham bhī kabhī the yūsuf-e-kan.ān-e-rañg-o-bū
pīr-e-za.īf-o-pīr zan-o-pairhan se pūchh
raaz-e-giraftagi na asir-e-lahn se puchh
ye baat apni zulf-e-shikan-dar-shikan se puchh
aawargi ke lutf na sarw-o-saman se puchh
wahshat mein kya maza hai hawa-e-chaman se puchh
mardan-e-haq ka azm shahidan-e-haq ka jurm
dil-dadgan-e-shewa-e-dar-o-rasan se puchh
kya sham-e-gham mein dida-o-dil par guzar gai
un taza wardan-e-bisat-e-kuhan se puchh
lazzat-kashan-e-saghar-e-ishrat ko kya KHabar
ranj-e-KHumar talKHi-e-kaam-o-dahan se puchh
sahn-e-chaman mein lala-o-gul par tere baghair
kya kya guzar rahi hai bahaar-e-chaman se puchh
aaghaz-e-irtibaat-o-talluq ke waqiat
kuchh apne hosh kuchh mere diwana-pan se puchh
ai fasl-e-gul mizaj jarahat-rasidgan
gar ho sake to lala-e-KHunin kafan se puchh
jo teri mashq-e-naz se pamal ho gaya
apna mizaj-e-naz usi KHasta-tan se puchh
afsana-e-bahaar asir-e-qafas se sun
yaad-e-watan ka lutf kisi be-watan se puchh
ai dost hum se kufr-e-mohabbat ka dars le
asrar-e-kafiri na but-e-barhaman se puchh
hum bhi kabhi the anjuman-ara-e-arzu
us jaan-e-bazm-o-zeb-dah-e-anjuman se puchh
hum bhi kabhi the yusuf-e-kanan-e-rang-o-bu
pir-e-zaif-o-pir zan-o-pairhan se puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.