raaz-e-hasti se aashna na hua
rāz-e-hastī se āshnā na huā
na huā aadmī ḳhudā na huā
harf rakhtā hai jo nigāhoñ par
rū-ba-rū is ke aa.inā na huā
tū to shah-rag ke paas thā lekin
tai hamīñ se ye fāsla na huā
rakh diyā mujh pe farz-e-ḳhidmat-e-ḳhalq
jab koī mujh sā dūsrā na huā
us kī dariyā-dilī ḳhudā rakkhe
arz ham se hī mudda.ā na huā
raaz-e-hasti se aashna na hua
na hua aadmi KHuda na hua
harf rakhta hai jo nigahon par
ru-ba-ru is ke aaina na hua
tu to shah-rag ke pas tha lekin
tai hamin se ye fasla na hua
rakh diya mujh pe farz-e-KHidmat-e-KHalq
jab koi mujh sa dusra na hua
us ki dariya-dili KHuda rakkhe
arz hum se hi muddaa na hua
- Book : Safeer-e-akhir-e-shab(Poetry) (Pg. 52)
- Author : Ram avtar gupta ''muztar''
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.