raaz-e-jaur-o-jafa nahin malum
rāz-e-jaur-o-jafā nahīñ ma.alūm
dard-e-dil kī davā nahīñ ma.alūm
ai masīhā tirī ināyat se
dard kyoñ baḌh gayā nahīñ ma.alūm
haa.e us shoḳhī-e-nazar kā itaab
kyā ġhazab Dhā.egā nahīñ ma.alūm
merā allāh par bharosa hai
karam-e-nāḳhudā nahīñ ma.alūm
in kī begānagī 'azīm' āḳhir
rang lā.egī kyā nahīñ ma.alūm
raaz-e-jaur-o-jafa nahin malum
dard-e-dil ki dawa nahin malum
ai masiha teri inayat se
dard kyon baDh gaya nahin malum
hae us shoKHi-e-nazar ka itab
kya ghazab Dhaega nahin malum
mera allah par bharosa hai
karam-e-naKHuda nahin malum
in ki beganagi 'azim' aaKHir
rang laegi kya nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.