raaz-e-maKHfi tumne mera ghair se ifsha kiya
raaz-e-maKHfi tumne mera ghair se ifsha kiya
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
rāz-e-maḳhfī tum ne merā ġhair se ifshā kiyā
ḳhair behtar mujh ko rusvā kar diyā achchhā kiyā
kaun kahtā hai kahe tū aa ke mere sāmne
kis ghaḌī kis vaqt maiñ ne aap kā shikvā kiyā
pūchhiye mujh se na apnī bazm-e-ishrat-zā kā haal
aap to hañste rahe ġhairoñ se maiñ royā kiyā
āb-e-shamshīr-e-do-dam se zaḳhm-e-dāman-dār ke
be-takalluf phuul apne jism par pahnā kiyā
jo kahā tum ne tamanna se bajā laayā use
kab nahīñ maiñ ne tumhārā ai sanam kahnā kiyā
le liyā sote meñ bosa us but-e-chālāk kā
ai dil-e-gustāḳh tū ne kaam ye bejā kiyā
ḳhāksār-e-ishq-e-sādiq thā zamīn-e-dahr meñ
der tak misl-e-urūs-e-nau vo sharmāyā kiyā
ik but-e-nā-āshnā se āshnā kar ke mujhe
hazrat-e-dil aap ne kis kis tarah rusvā kiyā
dam hamārā kyā koī thā va.ada-e-vasl-e-habīb
sub.h se tā-shām roz-e-hijr meñ TuuTā kiyā
zer-e-ḳhanjar ḳhāna-e-maqtal meñ vaqt-e-qatl maiñ
chehra-e-qātil ko chashm-e-zaḳhm se dekhā kiyā
hijr jaanā maiñ samajh kar shāhid-e-pinhāñ use
muddatoñ dard-e-jigar se dil ko bahlāyā kiyā
hazrat-e-dil ik but-e-be-rahm par maftūñ hue
baiThe-biThlā.e shagūfa aur ye paidā kiyā
marhabā sad-marhabā ai sarsar-e-āh-o-fuġhāñ
āḳhirash tū ne charāġh-e-zindagī ThanDā kiyā
ai shagufta ham ne ro ro kar ḳhayāl-e-yār meñ
ashk-e-chashm-e-tar se paidā dam-ba-dam dariyā kiyā
raaz-e-maKHfi tum ne mera ghair se ifsha kiya
KHair behtar mujh ko ruswa kar diya achchha kiya
kaun kahta hai kahe tu aa ke mere samne
kis ghaDi kis waqt main ne aap ka shikwa kiya
puchhiye mujh se na apni bazm-e-ishrat-za ka haal
aap to hanste rahe ghairon se main roya kiya
aab-e-shamshir-e-do-dam se zaKHm-e-daman-dar ke
be-takalluf phul apne jism par pahna kiya
jo kaha tum ne tamanna se baja laya use
kab nahin main ne tumhaara ai sanam kahna kiya
le liya sote mein bosa us but-e-chaalak ka
ai dil-e-gustaKH tu ne kaam ye beja kiya
KHaksar-e-ishq-e-sadiq tha zamin-e-dahr mein
der tak misl-e-urus-e-nau wo sharmaya kiya
ek but-e-na-ashna se aashna kar ke mujhe
hazrat-e-dil aap ne kis kis tarah ruswa kiya
dam hamara kya koi tha wada-e-wasl-e-habib
subh se ta-sham roz-e-hijr mein TuTa kiya
zer-e-KHanjar KHana-e-maqtal mein waqt-e-qatl main
chehra-e-qatil ko chashm-e-zaKHm se dekha kiya
hijr jaana main samajh kar shahid-e-pinhan use
muddaton dard-e-jigar se dil ko bahlaya kiya
hazrat-e-dil ek but-e-be-rahm par maftun hue
baiThe-biThlae shagufa aur ye paida kiya
marhaba sad-marhaba ai sarsar-e-ah-o-fughan
aaKHirash tu ne charagh-e-zindagi ThanDa kiya
ai shagufta hum ne ro ro kar KHayal-e-yar mein
ashk-e-chashm-e-tar se paida dam-ba-dam dariya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.