raaz-e-tauhid to kasrat mein chhupa hai ai dost
rāz-e-tauhīd to kasrat meñ chhupā hai ai dost
saikḌoñ jalve haiñ ik jalva-numā hai ai dost
ik zamāna yahāñ dīvāna banā hai ai dost
tere kūche kī havā hosh-rubā hai ai dost
ishrat-e-hāsil-e-isyāñ meñ kahāñ vo lazzat
ba-ḳhudā tark-e-gunah meñ jo mazā hai ai dost
surma-e-tūr ho yā ḳhāk-e-shifā yā iksīr
sab se baḌh kar tirī ḳhāk-e-kaf-e-pā hai ai dost
kyā kareñ jaan na de deñ jo mohabbat vaale
har adā husn kī paiġhām-e-qazā hai ai dost
tū ne kis aisī nigāhoñ se azal meñ dekhā
aaj tak ḳhauf se dil kaañp rahā hai ai dost
qā.il-e-hashr-o-qayāmat to sabhī haiñ lekin
tere va.ade kā yaqīñ kis ko huā hai ai dost
jāntā kaun nahīñ ahd-e-vafā ko tere
vo bhī minjumla-e-andāz-e-jafā hai ai dost
us zamīñ par kiyā karte haiñ farishte sajde
tere kushtoñ kā jahāñ ḳhuun bahā hai ai dost
ġham tire jalvoñ meñ ho jaatī haiñ nazreñ un kī
dekhne vāloñ se tere ye sunā hai ai dost
tāj-e-ḳhusrav se ġharaz us ko na taḳht-e-jam se
'afqar'-e-ḳhāk-nashīñ terā gadā hai ai dost
raaz-e-tauhid to kasrat mein chhupa hai ai dost
saikDon jalwe hain ek jalwa-numa hai ai dost
ek zamana yahan diwana bana hai ai dost
tere kuche ki hawa hosh-ruba hai ai dost
ishrat-e-hasil-e-isyan mein kahan wo lazzat
ba-KHuda tark-e-gunah mein jo maza hai ai dost
surma-e-tur ho ya KHak-e-shifa ya iksir
sab se baDh kar teri KHak-e-kaf-e-pa hai ai dost
kya karen jaan na de den jo mohabbat wale
har ada husn ki paigham-e-qaza hai ai dost
tu ne kis aisi nigahon se azal mein dekha
aaj tak KHauf se dil kanp raha hai ai dost
qail-e-hashr-o-qayamat to sabhi hain lekin
tere wade ka yaqin kis ko hua hai ai dost
jaanta kaun nahin ahd-e-wafa ko tere
wo bhi minjumla-e-andaz-e-jafa hai ai dost
us zamin par kiya karte hain farishte sajde
tere kushton ka jahan KHun baha hai ai dost
gham tere jalwon mein ho jati hain nazren un ki
dekhne walon se tere ye suna hai ai dost
taj-e-KHusraw se gharaz us ko na taKHt-e-jam se
'afqar'-e-KHak-nashin tera gada hai ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.