raaz-e-ulfat ahl-e-duniya ko jo samjhane gae
rāz-e-ulfat ahl-e-duniyā ko jo samjhāne ga.e
dar-ḳhur-e-dār-o-rasan vo log gardāne ga.e
'sarmad'-e-jāñ-bāz thā iisā thā yā 'mansūr' thā
sham.a kī lau tak yahī do-chār parvāne ga.e
mai-kade kā mai-kada rusvā-e-ālam ho gayā
jis kisī kam-zarf tak labrez paimāne ga.e
ahl-e-aql-o-hosh ne kyā kyā na toḌe un pe zulm
us pe bhī sau sau duā.eñ de ke dīvāne ga.e
nau-e-insāñ ko mile jin se mai-e-ulfat ke jaam
ab kahāñ ai sāqī-e-rā.anā vo mai-ḳhāne ga.e
mai-kade hī meñ milā kuchh terī hastī kā nishāñ
dair-o-ka.aba meñ bhī yuuñ to tere dīvāne ga.e
'sābir'-e-nādāñ na samjhā ishq ke anjām ko
jaane kitnī baar us ko ham bhī samjhāne ga.e
raaz-e-ulfat ahl-e-duniya ko jo samjhane gae
dar-KHur-e-dar-o-rasan wo log gardane gae
'sarmad'-e-jaan-baz tha isa tha ya 'mansur' tha
shama ki lau tak yahi do-chaar parwane gae
mai-kade ka mai-kada ruswa-e-alam ho gaya
jis kisi kam-zarf tak labrez paimane gae
ahl-e-aql-o-hosh ne kya kya na toDe un pe zulm
us pe bhi sau sau duaen de ke diwane gae
nau-e-insan ko mile jin se mai-e-ulfat ke jam
ab kahan ai saqi-e-raana wo mai-KHane gae
mai-kade hi mein mila kuchh teri hasti ka nishan
dair-o-kaba mein bhi yun to tere diwane gae
'sabir'-e-nadan na samjha ishq ke anjam ko
jaane kitni bar us ko hum bhi samjhane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.