raaz-e-ulfat bata gaya koi
rāz-e-ulfat batā gayā koī
mujh ko jiinā sikhā gayā koī
mere dil meñ samā gayā koī
ujḌī bastī basā gayā koī
apnā jalva dikhā gayā koī
nūr-o-nik.hat luTā gayā koī
kisht-e-vīrāñ thī zindagī merī
rashk-e-jannat banā gayā koī
ek aalam hai vajd meñ goyā
aisā naġhma sunā gayā koī
ham bhī qaa.il the zabt ke lekin
kho.e aise ki pā gayā koī
mast rahtā huuñ be-piye 'sābir'
mujh ko aisī pilā gayā koī
raaz-e-ulfat bata gaya koi
mujh ko jina sikha gaya koi
mere dil mein sama gaya koi
ujDi basti basa gaya koi
apna jalwa dikha gaya koi
nur-o-nikhat luTa gaya koi
kisht-e-viran thi zindagi meri
rashk-e-jannat bana gaya koi
ek aalam hai wajd mein goya
aisa naghma suna gaya koi
hum bhi qail the zabt ke lekin
khoe aise ki pa gaya koi
mast rahta hun be-piye 'sabir'
mujh ko aisi pila gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.