raaz-e-ulfat dil mein rakkha kijiye
rāz-e-ulfat dil meñ rakkhā kījiye
ishq ko hargiz na rusvā kījiye
kaun hai apnā parāyā kaun hai
kam se kam itnā to samjhā kījiye
rūThiyegā to manā leñge magar
merī majbūrī bhī samjhā kījiye
chand-roza zindagānī ke liye
zehn kā dil kā na saudā kījiye
maiñ huuñ apne aap meñ uljhā huā
nāseho mujh se na uljhā kījiye
chāhte haiñ aap agar amn-o-amāñ
ik nazar se sab ko dekhā kījiye
zindagī kā hai yahī maqsad ki aap
haq ko is duniyā meñ barpā kījiye
ai 'sadā' gard-e-kudūrat se kabhī
dil kā ā.īna na mailā kījiye
raaz-e-ulfat dil mein rakkha kijiye
ishq ko hargiz na ruswa kijiye
kaun hai apna paraya kaun hai
kam se kam itna to samjha kijiye
ruThiyega to mana lenge magar
meri majburi bhi samjha kijiye
chand-roza zindagani ke liye
zehn ka dil ka na sauda kijiye
main hun apne aap mein uljha hua
naseho mujh se na uljha kijiye
chahte hain aap agar amn-o-aman
ek nazar se sab ko dekha kijiye
zindagi ka hai yahi maqsad ki aap
haq ko is duniya mein barpa kijiye
ai 'sada' gard-e-kudurat se kabhi
dil ka aaina na maila kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.