raaz ka bazm mein charcha kabhi hone na diya
raaz kā bazm meñ charchā kabhī hone na diyā
ham ne apne ko tamāshā kabhī hone na diyā
ham ko is gardish-e-daurāñ ne kahīñ kā na rakhā
phir bhī lahje ko shikasta kabhī hone na diyā
mai-kade meñ baḌe kam-zarf the piine vaale
aañkh ko sāġhar o miinā kabhī hone na diyā
dil meñ ik dard kā tūfān chhupā.e rakkhā
aañkh se raaz ko ifshā kabhī hone na diyā
roz jalnā hai use roz jalānā hai use
ātish-e-shauq ko ThanDā kabhī hone na diyā
umr rishtoñ ke taqāze hī nibhāte guzrī
zindagī ne mujhe apnā kabhī hone na diyā
sab se mahfūz maqām-e-ġham-e-tanhā.ī hai
fikr-e-duniyā ne akelā kabhī hone na diyā
raaz ka bazm mein charcha kabhi hone na diya
hum ne apne ko tamasha kabhi hone na diya
hum ko is gardish-e-dauran ne kahin ka na rakha
phir bhi lahje ko shikasta kabhi hone na diya
mai-kade mein baDe kam-zarf the pine wale
aankh ko saghar o mina kabhi hone na diya
dil mein ek dard ka tufan chhupae rakkha
aankh se raaz ko ifsha kabhi hone na diya
roz jalna hai use roz jalana hai use
aatish-e-shauq ko ThanDa kabhi hone na diya
umr rishton ke taqaze hi nibhate guzri
zindagi ne mujhe apna kabhi hone na diya
sab se mahfuz maqam-e-gham-e-tanhai hai
fikr-e-duniya ne akela kabhi hone na diya
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 26.03.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.