raaz kitne daba gai miTTi
raaz kitne dabā ga.ī miTTī
achchhe-achchhoñ ko khā ga.ī miTTī
'umr-bhar kā jagā huā thā maiñ
āḳhirash kaam aa ga.ī miTTī
ḳhaak meñ ġharq ho ke kaun aaya
jism sab ke galā ga.ī miTTī
aaj marne kī zid mujhe kyoñ hai
aisā kyā hai jo bhā ga.ī miTTī
DhūñDh pā.egā kaun ab mujh ko
naqsh-e-pā mere khā ga.ī miTTī
maiñ samāyā huuñ 'zaif' miTTī meñ
aur mujh meñ samā ga.ī miTTī
raaz kitne daba gai miTTi
achchhe-achchhon ko kha gai miTTi
'umr-bhar ka jaga hua tha main
aaKHirash kaam aa gai miTTi
KHak mein gharq ho ke kaun aaya
jism sab ke gala gai miTTi
aaj marne ki zid mujhe kyon hai
aisa kya hai jo bha gai miTTi
DhunDh paega kaun ab mujh ko
naqsh-e-pa mere kha gai miTTi
main samaya hun 'zaif' miTTi mein
aur mujh mein sama gai miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.