raaz ko apne dil mein rakho
raaz ko apne dil meñ rakho
duniyā ko mushkil meñ rakho
socheñ hoñ parvāz meñ lekin
jaḌoñ ko āb-o-gil meñ rakho
husn agar hai be-pāyāñ to
is ko aañkh ke til meñ rakho
us kī yaad ke ujiyāroñ ko
ashkoñ kī jhilmil meñ rakho
us mahtāb-sifat sūrat ko
sapnoñ kī mahfil meñ rakho
maazī ko chhoḌo maazī meñ
haal ko mustaqbil meñ rakho
achchhe yaar aur un kī yādeñ
jīvan ke hāsil meñ rakho
raaz ko apne dil mein rakho
duniya ko mushkil mein rakho
sochen hon parwaz mein lekin
jaDon ko aab-o-gil mein rakho
husn agar hai be-payan to
is ko aankh ke til mein rakho
us ki yaad ke ujiyaron ko
ashkon ki jhilmil mein rakho
us mahtab-sifat surat ko
sapnon ki mahfil mein rakho
mazi ko chhoDo mazi mein
haal ko mustaqbil mein rakho
achchhe yar aur un ki yaaden
jiwan ke hasil mein rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.