raaz mein rakh teri ruswai ka qissa main hun
raaz meñ rakh tirī rusvā.ī kā qissa maiñ huuñ
mujh ko pahchān tirā dūsrā chehra maiñ huuñ
dafn haiñ tere ka.ī raaz mire siine meñ
jo tire ghar se guzartā hai vo rasta maiñ huuñ
muddatoñ baa'd bhī jaarī hai azāboñ kā safar
qatra qatra tirī āñkhoñ se Tapaktā maiñ huuñ
aa zarā baiTh mire paas bhī kuchh pul ke liye
mere hamdam tirī dīvār kā saaya maiñ huuñ
ab bhī zinda huuñ tirī ruuh meñ ġham kī sūrat
kaun kahtā hai ki TuuTā huā rishta maiñ huuñ
mujh ko pūjegī tah-e-ḳhāk jo duniyā hai 'shakīl'
kal jo TuuTā thā falak se vo sitāra maiñ huuñ
raaz mein rakh teri ruswai ka qissa main hun
mujh ko pahchan tera dusra chehra main hun
dafn hain tere kai raaz mere sine mein
jo tere ghar se guzarta hai wo rasta main hun
muddaton ba'd bhi jari hai azabon ka safar
qatra qatra teri aankhon se Tapakta main hun
aa zara baiTh mere pas bhi kuchh pul ke liye
mere hamdam teri diwar ka saya main hun
ab bhi zinda hun teri ruh mein gham ki surat
kaun kahta hai ki TuTa hua rishta main hun
mujh ko pujegi tah-e-KHak jo duniya hai 'shakil'
kal jo TuTa tha falak se wo sitara main hun
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 39)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.