raaz-o-niyaz-e-ishq ke qabil bana diya
rāz-o-niyāz-e-ishq ke qābil banā diyā
un kī nazar ne dil ko mire dil banā diyā
is malgaje libās pe ārā.isheñ nisār
tum ne to sādgī ko bhī qātil banā diyā
barq-o-sharar ko de ke tapish aur iztirāb
jo bach rahā usī ko mirā dil banā diyā
chāragarī ne aap kī chhū kar nigāh se
har aable ko dard bharā dil banā diyā
ab in tajalliyoñ kā ho kis taur se nufūz
jin ko hayā ne parda-e-hā.il banā diyā
dil ek musht-e-ḳhāk thā terī nigāh ne
miTTī ko soz-e-ishq ke qābil banā diyā
tere zuhūr-e-husn ne tahlīl-e-nūr kī
ajzā-e-muntashir ko mirā dil banā diyā
āġhāz-e-rabt meñ nigah-e-jāñ-navāz ne
dil ko tirī umiid ke qābil banā diyā
āñkhoñ ko intizār kī bedāriyāñ milīñ
soz-e-nafas ko garmī-e-mahfil banā diyā
fitrat ko hai gila ki mire iztirāb ne
hāsil ko barq barq ko hāsil banā diyā
jab shauq tāza-dam thā to manzil bhī raah thī
jab thak ga.e to raah ko manzil banā diyā
'safdar' ye un kī fitna-ḳhirāmī ko dekhiye
phūloñ pe paañv rakh ke unheñ dil banā diyā
raaz-o-niyaz-e-ishq ke qabil bana diya
un ki nazar ne dil ko mere dil bana diya
is malgaje libas pe aaraishen nisar
tum ne to sadgi ko bhi qatil bana diya
barq-o-sharar ko de ke tapish aur iztirab
jo bach raha usi ko mera dil bana diya
chaaragari ne aap ki chhu kar nigah se
har aable ko dard bhara dil bana diya
ab in tajalliyon ka ho kis taur se nufuz
jin ko haya ne parda-e-hail bana diya
dil ek musht-e-KHak tha teri nigah ne
miTTi ko soz-e-ishq ke qabil bana diya
tere zuhur-e-husn ne tahlil-e-nur ki
ajza-e-muntashir ko mera dil bana diya
aaghaz-e-rabt mein nigah-e-jaan-nawaz ne
dil ko teri umid ke qabil bana diya
aankhon ko intizar ki bedariyan milin
soz-e-nafas ko garmi-e-mahfil bana diya
fitrat ko hai gila ki mere iztirab ne
hasil ko barq barq ko hasil bana diya
jab shauq taza-dam tha to manzil bhi rah thi
jab thak gae to rah ko manzil bana diya
'safdar' ye un ki fitna-KHirami ko dekhiye
phulon pe panw rakh ke unhen dil bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.