raaz tak zehn ko rasai de
raaz tak zehn ko rasā.ī de
aur āñkhoñ ko tū dikhā.ī de
raah pe dil rahe javānī meñ
mujh ko is 'umr meñ sujhā.ī de
asl chehra dikhā.ī de tab nā
ab kise kaun muñh-dikhā.ī de
maiñ kahīñ devtā na ban jā.ūñ
merī sīrat meñ kuchh burā.ī de
mere hisse meñ ‘izzat-o-shohrat
itnī de ġhair ko dikhā.ī de
shor meñ tū bhī kyoñ 'sadaf' gum hai
apnī āvāz meñ sunā.ī de
raaz tak zehn ko rasai de
aur aankhon ko tu dikhai de
rah pe dil rahe jawani mein
mujh ko is 'umr mein sujhai de
asl chehra dikhai de tab na
ab kise kaun munh-dikhai de
main kahin dewta na ban jaun
meri sirat mein kuchh burai de
mere hisse mein ‘izzat-o-shohrat
itni de ghair ko dikhai de
shor mein tu bhi kyon 'sadaf' gum hai
apni aawaz mein sunai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.