raaz ulfat ke ayaañ raat ko saare hote
ham ka.ī baar unheñ ghabrā ke pukāre hote
sho.ala-e-husn ko rokā hai naqāb-e-ruḳh ne
abhī motī tire kānoñ ke sharāre hote
jānte the ki utāroge lahad meñ ham ko
maile kapḌe abhī tum ne na utāre hote
mere marne ke rahe muntazir ehsān kiyā
kyuuñ sahī aap ne taklīf sudhāre hote
sāmne mere raqīboñ ko dikhā.e abrū
aap ne us se to ḳhanjar mujhe maare hote
saath aahoñ ke shab-e-ġham meñ jo dil uḌ jaatā
aable auj ye paate ki sitāre hote
duur se bhī na huā yaar kā dīdār nasīb
ḳhair bāteñ na huī thiiñ to ishāre hote
ishq-bāzī na rahī dil jo gayā vaah 'rashīd'
dam nikal jaatā pa himmat to na haare hote
raaz ulfat ke ayan raat ko sare hote
hum kai bar unhen ghabra ke pukare hote
shoala-e-husn ko roka hai naqab-e-ruKH ne
abhi moti tere kanon ke sharare hote
jaante the ki utaroge lahad mein hum ko
maile kapDe abhi tum ne na utare hote
mere marne ke rahe muntazir ehsan kiya
kyun sahi aap ne taklif sudhaare hote
samne mere raqibon ko dikhae abru
aap ne us se to KHanjar mujhe mare hote
sath aahon ke shab-e-gham mein jo dil uD jata
aable auj ye pate ki sitare hote
dur se bhi na hua yar ka didar nasib
KHair baaten na hui thin to ishaare hote
ishq-bazi na rahi dil jo gaya wah 'rashid'
dam nikal jata pa himmat to na haare hote
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-140 page-127)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.