raaz ye sab par ayan hona hi tha so ho gaya
raaz ye sab par ayaañ honā hī thā so ho gayā
mujh ko ik din rā.egāñ honā hī thā so ho gayā
dil ko mere terī hasrat ke adhūre baab kī
ik mukammal dāstāñ honā hī thā so ho gayā
miTte miTte vaqt ke hāthoñ mujhe bhī āḳhirash
be-nishānī kā nishāñ honā hī thā so ho gayā
maslahat par munhasir thā so hamāre rabt ko
ek din to rā.egāñ honā hī thā so ho gayā
farq rañg-o-nasl kā thā mujh meñ tujh meñ is liye
haa.il us ko darmiyāñ honā hī thā so ho gayā
raaz ye sab par ayan hona hi tha so ho gaya
mujh ko ek din raegan hona hi tha so ho gaya
dil ko mere teri hasrat ke adhure bab ki
ek mukammal dastan hona hi tha so ho gaya
miTte miTte waqt ke hathon mujhe bhi aaKHirash
be-nishani ka nishan hona hi tha so ho gaya
maslahat par munhasir tha so hamare rabt ko
ek din to raegan hona hi tha so ho gaya
farq rang-o-nasl ka tha mujh mein tujh mein is liye
hail us ko darmiyan hona hi tha so ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.