raazi agar nahin hai wo mujhse KHafa to hai
raazī agar nahīñ hai vo mujh se ḳhafā to hai
goyā kisī bahāne sahī rābta to hai
itnā bhī sar pe chaḌhne se tūfān baaz aa
taslīm nāḳhudā nahīñ lekin ḳhudā to hai
un kī nazar ke phirne kā kuchh ġham nahīñ mujhe
qaa.em hasīn yādoñ kā ik silsila to hai
vābastagī kā tujh se sila kuchh to chāhiye
ḳhush huuñ ki soz-e-ġham meñ ye dil mubtalā to hai
raazi agar nahin hai wo mujh se KHafa to hai
goya kisi bahane sahi rabta to hai
itna bhi sar pe chaDhne se tufan baz aa
taslim naKHuda nahin lekin KHuda to hai
un ki nazar ke phirne ka kuchh gham nahin mujhe
qaem hasin yaadon ka ek silsila to hai
wabastagi ka tujh se sila kuchh to chahiye
KHush hun ki soz-e-gham mein ye dil mubtala to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.