rabab-e-dil ka har ek tar chhin lo mujhse
rabāb-e-dil kā har ik taar chhīn lo mujh se
jo ho sake to mirā pyaar chhīn lo mujh se
ummīd-o-hasrat-o-armān-o-yās-o-rañj-o-alam
yahī haiñ mere madad-gār chhīn lo mujh se
qadam milā ke chalo rāh-e-ishq meñ varna
mirā chalan mirī raftār chhīn lo mujh se
mujhe nahīñ hai gavārā navāzish-e-bejā
mirī mohabbat-e-ḳhuddār chhīn lo mujh se
tumheñ qasam hai masīhā bajā.e jāñ-baḳhshī
mirī hayāt-e-dil-āzār chhīn lo mujh se
tum apne lab ke liye mere zaḳhm-e-dil kī hañsī
ḳhushī se ai mire sarkār chhīn lo mujh se
agar jahāñ meñ ye aalam hai sard-mehrī kā
to merī garmī-e-guftār chhīn lo mujh se
tumhāre dil meñ bhī ghar kar chuke hoñ chupke se
to aao 'sāz' ke ash.ār chhīn lo mujh se
rabab-e-dil ka har ek tar chhin lo mujh se
jo ho sake to mera pyar chhin lo mujh se
ummid-o-hasrat-o-arman-o-yas-o-ranj-o-alam
yahi hain mere madad-gar chhin lo mujh se
qadam mila ke chalo rah-e-ishq mein warna
mera chalan meri raftar chhin lo mujh se
mujhe nahin hai gawara nawazish-e-beja
meri mohabbat-e-KHuddar chhin lo mujh se
tumhein qasam hai masiha bajae jaan-baKHshi
meri hayat-e-dil-azar chhin lo mujh se
tum apne lab ke liye mere zaKHm-e-dil ki hansi
KHushi se ai mere sarkar chhin lo mujh se
agar jahan mein ye aalam hai sard-mehri ka
to meri garmi-e-guftar chhin lo mujh se
tumhaare dil mein bhi ghar kar chuke hon chupke se
to aao 'saz' ke ashaar chhin lo mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.