rabab-e-husn hai ya koi saz-e-ulfat hai
rabāb-e-husn hai yā koī sāz-e-ulfat hai
samajh meñ aa na sakī dil kī jo haqīqat hai
kudūratoñ se ye ahl-e-jahāñ kī hālat hai
na ab diloñ meñ safā.ī na rasm-e-ulfat hai
marīz-e-hijr kī ab kuchh ajiib hālat hai
na hosh hī meñ hai apne na ḳhvāb-e-ġhaflat hai
bane jo aur bigaḌ jaa.e hai mirī taqdīr
bigaḌ bigaḌ ke bane jo adū kī qismat hai
qadam qadam pe haiñ sahrā ke ḳhaar dāman-gīr
vafā kī raah meñ har-gām par musībat hai
zabāñ khulegī na mahshar meñ sāmne un ke
kare jo hashr meñ fariyād kis kī jur.at hai
guloñ kā khul ke bikharnā hai aa.ina ġham kā
chaman kā yuuñ to har ik patta naqsh-e-ibrat hai
bikhar rahā hai kitāb-e-jahāñ kā shīrāza
qayāmat aane se pahle ye kyā qayāmat hai
simaT ke aa ga.ī pahlū meñ kā.enāt-e-jahāñ
samajh meñ aa nahīñ saktī jo dil kī vus.at hai
ye zauq-e-sher-o-suḳhan fitratan hai ai 'sho.ala'
numūd-o-nām kī ḳhvāhish na fikr-e-shohrat hai
rabab-e-husn hai ya koi saz-e-ulfat hai
samajh mein aa na saki dil ki jo haqiqat hai
kuduraton se ye ahl-e-jahan ki haalat hai
na ab dilon mein safai na rasm-e-ulfat hai
mariz-e-hijr ki ab kuchh ajib haalat hai
na hosh hi mein hai apne na KHwab-e-ghaflat hai
bane jo aur bigaD jae hai meri taqdir
bigaD bigaD ke bane jo adu ki qismat hai
qadam qadam pe hain sahra ke KHar daman-gir
wafa ki rah mein har-gam par musibat hai
zaban khulegi na mahshar mein samne un ke
kare jo hashr mein fariyaad kis ki jurat hai
gulon ka khul ke bikharna hai aaina gham ka
chaman ka yun to har ek patta naqsh-e-ibrat hai
bikhar raha hai kitab-e-jahan ka shiraaza
qayamat aane se pahle ye kya qayamat hai
simaT ke aa gai pahlu mein kaenat-e-jahan
samajh mein aa nahin sakti jo dil ki wusat hai
ye zauq-e-sher-o-suKHan fitratan hai ai 'shoala'
numud-o-nam ki KHwahish na fikr-e-shohrat hai
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 127)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.