Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rabt kaisa tha dil-o-dida-o-jaan mein pahle

Khurshidul islam

rabt kaisa tha dil-o-dida-o-jaan mein pahle

Khurshidul islam

MORE BYKhurshidul islam

    rabt kaisā thā dil-o-dīda-o-jāñ meñ pahle

    thā koī aur jahāñ apne jahāñ meñ pahle

    dil dhaḌaktā hai to rone sadā aatī hai

    ek hangāma rahtā thā makāñ meñ pahle

    ḳhaak uḌtī hai siine meñ yaqīñ ke har dam

    qāfile aa ke Thaharte the gumāñ meñ pahle

    yak-ba-yak dil se chhalak paḌtī thī ik mauj-e-tarab

    lazzat-e-jāñ thī 'ajab shorish-e-jāñ meñ pahle

    ab taraddud hai ta.ammul hai ta.assuf hai tamām

    taab thī ġham meñ tamannā thī fuġhāñ meñ pahle

    ab jo hai garmī-e-bāzār to ham is meñ nahīñ

    ham bhī the garmī-e-bāzār jahāñ meñ pahle

    lahlahātā hai jo qāmat meñ qayāmat chaman

    ye sajāvaT to na thī sarv-e-ravāñ meñ pahle

    saf-ba-saf bandish-e-ā'zā barahna cham-o-ḳham

    aisī yūrish bhī na dekhī thī jahāñ meñ pahle

    ye kashish kab thī bhalā kāf-e-karam meñ ki jo hai

    ye tapish kab thī bhalā rū-e-butāñ meñ pahle

    rabt kaisa tha dil-o-dida-o-jaan mein pahle

    tha koi aur jahan apne jahan mein pahle

    dil dhaDakta hai to rone ki sada aati hai

    ek hangama sa rahta tha makan mein pahle

    KHak si uDti hai sine mein yaqin ke har dam

    qafile aa ke Thaharte the guman mein pahle

    yak-ba-yak dil se chhalak paDti thi ek mauj-e-tarab

    lazzat-e-jaan thi 'ajab shorish-e-jaan mein pahle

    ab taraddud hai tammul hai tassuf hai tamam

    tab thi gham mein tamanna thi fughan mein pahle

    ab jo hai garmi-e-bazar to hum is mein nahin

    hum bhi the garmi-e-bazar jahan mein pahle

    lahlahata hai jo qamat mein qayamat ka chaman

    ye sajawaT to na thi sarw-e-rawan mein pahle

    saf-ba-saf bandish-e-a'za ka barahna cham-o-KHam

    aisi yurish bhi na dekhi thi jahan mein pahle

    ye kashish kab thi bhala kaf-e-karam mein ki jo hai

    ye tapish kab thi bhala ru-e-butan mein pahle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now