rabt paida ho gaya tha
rabt paidā ho gayā thā
dasht dariyā ho gayā thā
vaqt ke is aa.ine meñ
aks būḌhā ho gayā thā
umr aadhī rah ga.ī thī
kaam dugnā ho gayā thā
maiñ haqīqī zindagī meñ
ḳhvāb jaisā ho gayā thā
log mil kar jā rahe the
vaqt puurā ho gayā thā
dard baaqī thā badan meñ
zaḳhm achchhā ho gayā thā
baat puurī ho chukī thī
zehn chūrā ho gayā thā
ḳhāmushī baḌhne lagī thī
shor itnā ho gayā thā
kuchh nahīñ thā maiñ 'sahar' bas
dil-girafta ho gayā thā
rabt paida ho gaya tha
dasht dariya ho gaya tha
waqt ke is aaine mein
aks buDha ho gaya tha
umr aadhi rah gai thi
kaam dugna ho gaya tha
main haqiqi zindagi mein
KHwab jaisa ho gaya tha
log mil kar ja rahe the
waqt pura ho gaya tha
dard baqi tha badan mein
zaKHm achchha ho gaya tha
baat puri ho chuki thi
zehn chura ho gaya tha
KHamushi baDhne lagi thi
shor itna ho gaya tha
kuchh nahin tha main 'sahar' bas
dil-girafta ho gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.