rafaqaton ke safar mein gurez-pa sa laga
rafāqatoñ ke safar meñ gurez-pā sā lagā
vo bevafā na sahī phir bhī bevafā sā lagā
na-jāne kaisī udāsī dil-e-tabāh meñ thī
jo us pe zaḳhm kī sūrat tirā dilāsā lagā
vo jis kī zinda-dilī ke hazār charche the
vo terī bazm meñ kitnā bujhā bujhā sā lagā
ye nā-rasā.ī bhī kitnī ajiib hotī hai
samundaroñ kā musāfir thā aur pyāsā lagā
bas ek lamha-e-ruḳhsat ke phail jaane se
maiñ apne aap ko kitnā thakā thakā sā lagā
'nazīr' tark-e-ta.alluq pe dukh na thā lekin
mujhe kisī kā ravayya zarā burā sā lagā
rafaqaton ke safar mein gurez-pa sa laga
wo bewafa na sahi phir bhi bewafa sa laga
na-jaane kaisi udasi dil-e-tabah mein thi
jo us pe zaKHm ki surat tera dilasa laga
wo jis ki zinda-dili ke hazar charche the
wo teri bazm mein kitna bujha bujha sa laga
ye na-rasai bhi kitni ajib hoti hai
samundaron ka musafir tha aur pyasa laga
bas ek lamha-e-ruKHsat ke phail jaane se
main apne aap ko kitna thaka thaka sa laga
'nazir' tark-e-talluq pe dukh na tha lekin
mujhe kisi ka rawayya zara bura sa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.