rafiq-o-monis-o-hamdam koi mila hi nahin
rafīq-o-monis-o-hamdam koī milā hī nahīñ
vo kyā jiye jise jiine kā aasrā hī nahīñ
use haqīqat-e-uzmā samajh ke itrā.e
vo naqsh-e-zīst jo sach pūchhiye banā hī nahīñ
ḳhudā ke vāste kuchh raushnī ghaTā diije
nazar hai ḳhīra kuchh aisī ki sūjhtā hī nahīñ
havās-o-hosh-o-ḳhirad sab vahāñ salāmat haiñ
jahāñ nigāh kā jaadū kabhī chalā hī nahīñ
vo apnī zaat se bāhar nikal ke kyā jaa.e
vo dīda-var jo kisī samt dekhtā hī nahīñ
tirī nigāh ke sadqe tirī nazar ke nisār
girā jo terī nazar se vo phir uThā hī nahīñ
us ek baat ke qurbān jā.iye ki jise
tamām umr kahā aur kuchh kahā hī nahīñ
fasāna-e-dil-e-sad-chāk kā ma.aal na pūchh
sunā to us ne magar jaise kuchh sunā hī nahīñ
dikhā.ūñ bhī to kise dard-o-ranj kī tasvīr
mire jahāñ meñ koī dard-āshnā hī nahīñ
mire rafīq mujhe dars-e-maslahat kyoñ deñ
diloñ kī baat hai yaañ maslahat ravā hī nahīñ
zamāna us se ḳhushī kyoñ talab kare 'qādir'
jise ġhamoñ ke sivā aur kuchh milā hī nahīñ
rafiq-o-monis-o-hamdam koi mila hi nahin
wo kya jiye jise jine ka aasra hi nahin
use haqiqat-e-uzma samajh ke itrae
wo naqsh-e-zist jo sach puchhiye bana hi nahin
KHuda ke waste kuchh raushni ghaTa dije
nazar hai KHira kuchh aisi ki sujhta hi nahin
hawas-o-hosh-o-KHirad sab wahan salamat hain
jahan nigah ka jadu kabhi chala hi nahin
wo apni zat se bahar nikal ke kya jae
wo dida-war jo kisi samt dekhta hi nahin
teri nigah ke sadqe teri nazar ke nisar
gira jo teri nazar se wo phir uTha hi nahin
us ek baat ke qurban jaiye ki jise
tamam umr kaha aur kuchh kaha hi nahin
fasana-e-dil-e-sad-chaak ka maal na puchh
suna to us ne magar jaise kuchh suna hi nahin
dikhaun bhi to kise dard-o-ranj ki taswir
mere jahan mein koi dard-ashna hi nahin
mere rafiq mujhe dars-e-maslahat kyon den
dilon ki baat hai yan maslahat rawa hi nahin
zamana us se KHushi kyon talab kare 'qadir'
jise ghamon ke siwa aur kuchh mila hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.