rafiqon ko madad karne pukara hum nahin karte
rafīqoñ ko madad karne pukārā ham nahīñ karte
ḳhudā kaafī hai bandoñ kā sahārā ham nahīñ karte
zabāñ ye haq kī aadī hai kisī se Dar nahīñ saktī
sabhī kuchh khul ke kahte haiñ ishāra ham nahīñ karte
samundar meñ utar ke ruḳh havā kā moḌ dete haiñ
kabhī sāhil se tūfāñ kā nazāra ham nahīñ karte
ye ḳhuddārī hamārī ham ko apnī jaañ se pyārī hai
jhukā ke sar ko TukḌoñ par guzārā ham nahīñ karte
sabaq lete haiñ ham apnī ḳhatā se ilm paate haiñ
ḳhatā jo ham se ho jaa.e dobāra ham nahīñ karte
baḌī mushkil se sīkhā hai sabaq ham ne siyāsat kā
tujhe qadmoñ meñ rakhte haiñ sitāra ham nahīñ karte
hamārī jeb ḳhālī hai to kyā ye dil hai shāhoñ kā
faqīrī meñ bhī muflis se kināra ham nahīñ karte
ye mumkin hai ki kuchh kaḌvī lageñ 'shamsher' kī bāteñ
khare alfāz likhte haiñ ye aarā ham nahīñ karte
rafiqon ko madad karne pukara hum nahin karte
KHuda kafi hai bandon ka sahaara hum nahin karte
zaban ye haq ki aadi hai kisi se Dar nahin sakti
sabhi kuchh khul ke kahte hain ishaara hum nahin karte
samundar mein utar ke ruKH hawa ka moD dete hain
kabhi sahil se tufan ka nazara hum nahin karte
ye KHuddari hamari hum ko apni jaan se pyari hai
jhuka ke sar ko TukDon par guzara hum nahin karte
sabaq lete hain hum apni KHata se ilm pate hain
KHata jo hum se ho jae dobara hum nahin karte
baDi mushkil se sikha hai sabaq hum ne siyasat ka
tujhe qadmon mein rakhte hain sitara hum nahin karte
hamari jeb KHali hai to kya ye dil hai shahon ka
faqiri mein bhi muflis se kinara hum nahin karte
ye mumkin hai ki kuchh kaDwi lagen 'shamsher' ki baaten
khare alfaz likhte hain ye aara hum nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.