rafta rafta aasman utra zamin ke us taraf
rafta rafta āsmāñ utrā zamīñ ke us taraf
maiñ ne boyā thā kabhī sabza zamīñ ke us taraf
is zamīñ par pyaas kī shiddat huī thī kab ayaañ
kis ne sochā thā nihāñ dariyā zamīñ ke us taraf
āsmāñ ke rañg saare hairatoñ ke aks haiñ
vo hai ik chehra pas-e-parda zamīñ ke us taraf
mere hone kā gumāñ is bhiiḌ meñ hai mubtalā
aur maiñ tanhā bahut tanhā zamīñ ke us taraf
ek taara TūTne kī chaah meñ bechain hai
muntazir hogā koī bachcha zamīñ ke us taraf
rafta rafta aasman utra zamin ke us taraf
main ne boya tha kabhi sabza zamin ke us taraf
is zamin par pyas ki shiddat hui thi kab ayan
kis ne socha tha nihan dariya zamin ke us taraf
aasman ke rang sare hairaton ke aks hain
wo hai ek chehra pas-e-parda zamin ke us taraf
mere hone ka guman is bhiD mein hai mubtala
aur main tanha bahut tanha zamin ke us taraf
ek tara TuTne ki chah mein bechain hai
muntazir hoga koi bachcha zamin ke us taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.