rafta-rafta baat banegi husn qayamat Dhaega
rafta-rafta baat banegi husn qayamat Dhaega
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
rafta-rafta baat banegī husn qayāmat Dhā.egā
'ishq vafā ke naġhme gā kar apnā rang jamā.egā
ye duniyā hai is duniyā ke baaġh kī riit nirālī hai
phuul khilegā ḳhushbū degā TūTegā murjhā.egā
shahr-e-vafā ke vīrāne meñ dard ko duniyā tarsegī
dil kī mujh ko fikr nahīñ hai dil to bahal hī jā.egā
jaan ga.ī ab duniyā saarī insānī hamdardī meñ
jo insāf kī raah chalegā mushkil meñ paḌ jā.egā
ham kyā jāneñ ham se pahle bhī ye hotā aaya hai
jo bhī sachchī baat kahegā dīvāna kahlā.egā
ham ne bhī to Thokar khā kar baḌe baḌe dukh paa.e haiñ
ab to sīdhī raah chaleñge jo ho dekhā jā.egā
ḳhuun bahegā dil taḌpeñge be-sar lāsheñ ghūmeñgī
ye merā īmān hai 'zaidī' amn yahāñ bhī āye.gā
rafta-rafta baat banegi husn qayamat Dhaega
'ishq wafa ke naghme ga kar apna rang jamaega
ye duniya hai is duniya ke bagh ki rit nirali hai
phul khilega KHushbu dega TuTega murjhaega
shahr-e-wafa ke virane mein dard ko duniya tarsegi
dil ki mujh ko fikr nahin hai dil to bahal hi jaega
jaan gai ab duniya sari insani hamdardi mein
jo insaf ki rah chalega mushkil mein paD jaega
hum kya jaanen hum se pahle bhi ye hota aaya hai
jo bhi sachchi baat kahega diwana kahlaega
hum ne bhi to Thokar kha kar baDe baDe dukh pae hain
ab to sidhi rah chalenge jo ho dekha jaega
KHun bahega dil taDpenge be-sar lashen ghumengi
ye mera iman hai 'zaidi' amn yahan bhi aayega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.