Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rafta rafta chiKHna aaram ho jaane ke baad

Pranav Mishra Tejas

rafta rafta chiKHna aaram ho jaane ke baad

Pranav Mishra Tejas

MORE BYPranav Mishra Tejas

    rafta rafta chīḳhnā ārām ho jaane ke baad

    Duub jaanā phir nikalnā shaam ho jaane ke baad

    der tak ḳhāmoshiyoñ se guftugū karnā kabhī

    der tak sunñā unheñ har kaam ho jaane ke baad

    bastiyoñ se duur jaanā ḳhvāhishoñ ko paar kar

    jañgaloñ meñ nāchnā gumnām ho jaane ke baad

    āsmāñ vāloñ se apnī ranjishoñ ko bhūlnā

    ruuh ke bāzār meñ nīlām ho jaane ke baad

    rabt ke pahlū samajhnā aur ronā saarī raat

    bas yahī kuchh kaam haiñ nākām ho jaane ke baad

    rafta rafta chiKHna aaram ho jaane ke baad

    Dub jaana phir nikalna sham ho jaane ke baad

    der tak KHamoshiyon se guftugu karna kabhi

    der tak sunna unhen har kaam ho jaane ke baad

    bastiyon se dur jaana KHwahishon ko par kar

    jangalon mein nachna gumnam ho jaane ke baad

    aasman walon se apni ranjishon ko bhulna

    ruh ke bazar mein nilam ho jaane ke baad

    rabt ke pahlu samajhna aur rona sari raat

    bas yahi kuchh kaam hain nakaam ho jaane ke baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now