rafta-rafta dil par us kafir ka qabza ho gaya
rafta-rafta dil par us kāfir kā qabza ho gayā
dekhte hī dekhte ka.aba kalīsā ho gayā
kushta-e-andāz kī turbat ko Thukrā kar kahā
hausla ab to shahīd-e-nāz puurā ho gayā
hai bajā utre jo gardūñ se balāoñ par balā
dil asīr-e-halqa-e-zulf-e-chalīpā ho gayā
kyoñ na deñ ahl-e-basīrat dil ko āñkhoñ meñ jagah
gardish-e-chashm-e-tavangar se ye surma ho gayā
kyā karegā aur dast-e-nā-umīdī mere saath
TukḌe TukḌe ab to dāmān-e-tamanna ho gayā
vā.e-qismat yaad kab aaya nishān-e-kū-e-dost
qāsid-e-gum-karda-manzil jab ravāna ho gayā
hāl-e-dil kyā pūchhte ho merī sūrat dekh lo
āshnā nā-āshnā haiñ ye to naqsha ho gayā
uf re zālim aaj tak niklā na koī hausla
dil hī zaḳhmī ho gayā chhalnī kaleja ho gayā
pā-e-nāzuk meñ vahāñ us shoḳh ne haldī malī
aur shab-e-va.ada yahāñ ḳhūn-e-tamannā ho gayā
bāñdh kar tār-e-nazar meñ laa.e mazmūn-e-kamar
ġhul paḌā mulk-e-suḳhan meñ said anqā ho gayā
zulf bikhrā.e hue qātil hai zeb-e-bām aaj
dil kī barbādī kā kul sāmān puurā ho gayā
ḳhalvat-e-dil meñ nazar aane lagā vo bahr-e-husn
is qadar phailā hai ye qatra ki dariyā ho gayā
chashm-e-ahl-e-shauq rahtī hai usī jānib 'tabīb'
husn us ḳhurshīd-paikar kā tamāshā ho gayā
rafta-rafta dil par us kafir ka qabza ho gaya
dekhte hi dekhte kaba kalisa ho gaya
kushta-e-andaz ki turbat ko Thukra kar kaha
hausla ab to shahid-e-naz pura ho gaya
hai baja utre jo gardun se balaon par bala
dil asir-e-halqa-e-zulf-e-chalipa ho gaya
kyon na den ahl-e-basirat dil ko aankhon mein jagah
gardish-e-chashm-e-tawangar se ye surma ho gaya
kya karega aur dast-e-na-umidi mere sath
TukDe TukDe ab to daman-e-tamanna ho gaya
wae-qismat yaad kab aaya nishan-e-ku-e-dost
qasid-e-gum-karda-manzil jab rawana ho gaya
haal-e-dil kya puchhte ho meri surat dekh lo
aashna na-ashna hain ye to naqsha ho gaya
uf re zalim aaj tak nikla na koi hausla
dil hi zaKHmi ho gaya chhalni kaleja ho gaya
pa-e-nazuk mein wahan us shoKH ne haldi mali
aur shab-e-wada yahan KHun-e-tamanna ho gaya
bandh kar tar-e-nazar mein lae mazmun-e-kamar
ghul paDa mulk-e-suKHan mein said anqa ho gaya
zulf bikhrae hue qatil hai zeb-e-baam aaj
dil ki barbaadi ka kul saman pura ho gaya
KHalwat-e-dil mein nazar aane laga wo bahr-e-husn
is qadar phaila hai ye qatra ki dariya ho gaya
chashm-e-ahl-e-shauq rahti hai usi jaanib 'tabib'
husn us KHurshid-paikar ka tamasha ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.