rafta rafta jazb-e-ulfat mein kamal aa hi gaya
rafta rafta jazb-e-ulfat meñ kamāl aa hī gayā
hijr ke parde se paiġhām-e-visāl aa hī gayā
iztirāb-e-dil ba-shakl-e-rāz āḳhir tā-ba-ke
tishna-e-dīdār ke lab par savāl aa hī gayā
mere dast-e-ārzū meñ laakh nākāmī pe bhī
vo nahīñ to un kā dāmān-e-ḳhayāl aa hī gayā
ye to ab tak phūñk detā hastī-e-kaunain ko
vo to kahiye ishq meñ kuchh e'tidāl aa hī gayā
phuuT hī niklī rag-e-saudā se tanvīr-e-junūñ
zarre zarre meñ bayābāñ ke jamāl aa hī gayā
naqsh dhuñdle ho chuke haiñ sānehāt-e-zīst ke
jaane kyā dekhā ki phir un kā ḳhayāl aa hī gayā
sar pe saudā-e-mohabbat pā-ba-zanjīr-e-junūñ
tere dar par 'vahshī'-e-āshufta-hāl aa hī gayā
rafta rafta jazb-e-ulfat mein kamal aa hi gaya
hijr ke parde se paigham-e-visal aa hi gaya
iztirab-e-dil ba-shakl-e-raaz aaKHir ta-ba-ke
tishna-e-didar ke lab par sawal aa hi gaya
mere dast-e-arzu mein lakh nakaami pe bhi
wo nahin to un ka daman-e-KHayal aa hi gaya
ye to ab tak phunk deta hasti-e-kaunain ko
wo to kahiye ishq mein kuchh e'tidal aa hi gaya
phuT hi nikli rag-e-sauda se tanwir-e-junun
zarre zarre mein bayaban ke jamal aa hi gaya
naqsh dhundle ho chuke hain sanehat-e-zist ke
jaane kya dekha ki phir un ka KHayal aa hi gaya
sar pe sauda-e-mohabbat pa-ba-zanjir-e-junun
tere dar par 'wahshi'-e-ashufta-haal aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.