raftar-e-tez-tar ka bharam TuTne lage
raftār-e-tez-tar kā bharam TūTne lage
aise na chal ki raah meñ dam TūTne lage
nafrat kī āñdhiyoñ kī jafā-kāriyāñ na pūchh
pattoñ kī tarah shāḳh se ham TūTne lage
ruk kar mujhe sadā.eñ na deñ varna yuuñ na ho
dasht-e-junūñ meñ merā bhī ram TūTne lage
raftar-e-tez-tar ka bharam TuTne lage
aise na chal ki rah mein dam TuTne lage
nafrat ki aandhiyon ki jafa-kariyan na puchh
patton ki tarah shaKH se hum TuTne lage
ruk kar mujhe sadaen na den warna yun na ho
dasht-e-junun mein mera bhi ram TuTne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.