raftar-e-zindagi zara tham jao to sahi
raftār-e-zindagī zarā tham jaao to sahī
fursat meñ mere ghar kī taraf aao to sahī
ik bevafā ke ġham meñ taḌapne se fā.eda
nādān dil hai is ko bhī samjhāo to sahī
ḳhushiyāñ bhī tere ġham ke jhamele meñ gum huiiñ
mauqa mile to dard meñ muskāo to sahī
kis kis tarah maiñ terī utārūñgī aartī
āñgan meñ nange paañv zarā aao to sahī
yādoñ kā 'nāz' silsila TuuTe na ab kabhī
dil ko kisī ke vāste taḌpāo to sahī
raftar-e-zindagi zara tham jao to sahi
fursat mein mere ghar ki taraf aao to sahi
ek bewafa ke gham mein taDapne se faeda
nadan dil hai is ko bhi samjhao to sahi
KHushiyan bhi tere gham ke jhamele mein gum huin
mauqa mile to dard mein muskao to sahi
kis kis tarah main teri utarungi aarti
aangan mein nange panw zara aao to sahi
yaadon ka 'naz' silsila TuTe na ab kabhi
dil ko kisi ke waste taDpao to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.