rag-e-jaan mein sama jati ho jaanan
rag-e-jāñ meñ samā jaatī ho jānāñ
tum itnā yaad kyuuñ aatī ho jānāñ
tumhāre saa.e hai pahlū meñ ab tak
ki jā kar bhī kahāñ jaatī ho jānāñ
mirī nīñdeñ uḌā rakkhī haiñ tum ne
ye kaise ḳhvāb dikhlātī ho jānāñ
kisī din dekhnā mar jā.ūñgā maiñ
mirī qasmeñ bahut khātī ho jānāñ
vo suntā huuñ maiñ apnī dhaḌkanoñ se
tum āñkhoñ se jo kah jaatī ho jānāñ
parāyā-pan nahīñ apnā.iyat hai
jo yuuñ āñkheñ churā jaatī ho jānāñ
rag-e-jaan mein sama jati ho jaanan
tum itna yaad kyun aati ho jaanan
tumhaare sae hai pahlu mein ab tak
ki ja kar bhi kahan jati ho jaanan
meri ninden uDa rakkhi hain tum ne
ye kaise KHwab dikhlati ho jaanan
kisi din dekhna mar jaunga main
meri qasmen bahut khati ho jaanan
wo sunta hun main apni dhaDkanon se
tum aankhon se jo kah jati ho jaanan
paraya-pan nahin apnaiyat hai
jo yun aankhen chura jati ho jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.