rag-e-jaan mein utar kar bolta hai
rag-e-jāñ meñ utar kar boltā hai
haqīqat jab suḳhanvar boltā hai
kisī se kab vo Dar kar boltā hai
zabān-e-haq qalandar boltā hai
'atā hotī hai jis ko chashm-e-bīnā
to qatre meñ samundar boltā hai
nahīñ hiirā chamaktā be-tarāshe
tarash jaa.e to patthar boltā hai
vo jhūTā hai jo be-tahqīq bāteñ
kisī se sun ke aksar boltā hai
vahī hai mo'atabar aañsū jo 'aḳhtar'
sar-e-mizhgāñ Thahar kar boltā hai
rag-e-jaan mein utar kar bolta hai
haqiqat jab suKHanwar bolta hai
kisi se kab wo Dar kar bolta hai
zaban-e-haq qalandar bolta hai
'ata hoti hai jis ko chashm-e-bina
to qatre mein samundar bolta hai
nahin hira chamakta be-tarashe
tarash jae to patthar bolta hai
wo jhuTa hai jo be-tahqiq baaten
kisi se sun ke aksar bolta hai
wahi hai mo'atabar aansu jo 'aKHtar'
sar-e-mizhgan Thahar kar bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.