rag-o-pai mein utar gaya suraj
rag-o-pai meñ utar gayā sūraj
jism ko dhuup kar gayā sūraj
duur hī se chamak rahe haiñ badan
saare kapḌe kutar gayā sūraj
ek lamha kī ho ga.ī ġhaflat
mujh ko patthar sā kar gayā sūraj
mujh ko ḳhvāboñ meñ bāñdh kar rakkhā
aur hañs kar guzar gayā sūraj
pāniyoñ meñ chitāeñ jalne lagīñ
naddiyoñ meñ utar gayā sūraj
maiñ ne sāyoñ kī bhiik māñgī thī
merī chhat par utar gayā sūraj
shaam ke ek narm patthar se
reza reza bikhar gayā sūraj
dhuup kyā saa.e se bhī jalne lage
itnā kamzor kar gayā sūraj
sāzisheñ aisī kiiñ charāġhoñ ne
vaqt se pahle mar gayā sūraj
rag-o-pai mein utar gaya suraj
jism ko dhup kar gaya suraj
dur hi se chamak rahe hain badan
sare kapDe kutar gaya suraj
ek lamha ki ho gai ghaflat
mujh ko patthar sa kar gaya suraj
mujh ko KHwabon mein bandh kar rakkha
aur hans kar guzar gaya suraj
paniyon mein chitaen jalne lagin
naddiyon mein utar gaya suraj
main ne sayon ki bhik mangi thi
meri chhat par utar gaya suraj
sham ke ek narm patthar se
reza reza bikhar gaya suraj
dhup kya sae se bhi jalne lage
itna kamzor kar gaya suraj
sazishen aisi kin charaghon ne
waqt se pahle mar gaya suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.