rag rag mein tere hijr ko bharna paDa mujhe
rag rag meñ tere hijr ko bharnā paḌā mujhe
tere liye ye kaam bhī karnā paḌā mujhe
tishna-labī thī aur samundar meñ zahr thā
thoḌā sā jiine ke liye marnā paḌā mujhe
tanhā ye tīrgī se bhalā kaise jīt.tā
sūraj ke saath saath ubharnā paḌā mujhe
maiñ aap apnā bojh thā apne hī aap par
so apne aap se hī utarnā paḌā mujhe
haa.e jo mere naam se mansūb thī galī
chup-chāp usī galī se guzarnā paḌā mujhe
aisī adā se us ne sameTā thā ek baar
phir ḳhud meñ baar baar bikharnā paḌā mujhe
rag rag mein tere hijr ko bharna paDa mujhe
tere liye ye kaam bhi karna paDa mujhe
tishna-labi thi aur samundar mein zahr tha
thoDa sa jine ke liye marna paDa mujhe
tanha ye tirgi se bhala kaise jitta
suraj ke sath sath ubharna paDa mujhe
main aap apna bojh tha apne hi aap par
so apne aap se hi utarna paDa mujhe
hae jo mere nam se mansub thi gali
chup-chap usi gali se guzarna paDa mujhe
aisi ada se us ne sameTa tha ek bar
phir KHud mein bar bar bikharna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.