ragon mein KHun hai pani nahin hai
ragoñ meñ ḳhuun hai paanī nahīñ hai
hamārā 'azm nādānī nahīñ hai
unheñ honā hī thā gul kā nigahbāñ
ḳhalish ḳhāroñ kī hairānī nahīñ hai
chamak tāroñ kī hai us kī jabīñ pe
gunāhoñ kī pashemānī nahīñ hai
faqīrī us kī 'ādat meñ hai shāmil
vo Thahrā ik jagah paanī nahīñ hai
rahī duniyā meñ ḳhush har haal meñ jo
vo 'shailī' sī to dīvānī nahīñ hai
ragon mein KHun hai pani nahin hai
hamara 'azm nadani nahin hai
unhen hona hi tha gul ka nigahban
KHalish KHaron ki hairani nahin hai
chamak taron ki hai us ki jabin pe
gunahon ki pashemani nahin hai
faqiri us ki 'adat mein hai shamil
wo Thahra ek jagah pani nahin hai
rahi duniya mein KHush har haal mein jo
wo 'shaili' si to diwani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.