rah-e-firaq kisi taur muKHtasar kije
rah-e-firāq kisī taur muḳhtasar kiije
jo ho sake to kabhī ḳhvāb se guzar kiije
hamāre dil meñ bhī manzar ajiib sair kā hai
na aa sakeñ to bulandī se hī nazar kiije
yahāñ pe chāroñ taraf hai surāġh rastoñ kā
par iḳhtiyār koī raah dekh kar kiije
ye shahr-o-koh-o-bayābān-o-dasht-o-dariyā the
ab aage ḳhvāb hai ruk jā.iye basar kiije
bane the ḳhaak se ham ko qayām karnā thā
havā haiñ aap uḌā kījiye safar kiije
ham apne ahd-e-tamannā pe ab bhī qaa.em haiñ
zarā sharīk-e-tamannā ko bhī ḳhabar kiije
rah-e-firaq kisi taur muKHtasar kije
jo ho sake to kabhi KHwab se guzar kije
hamare dil mein bhi manzar ajib sair ka hai
na aa saken to bulandi se hi nazar kije
yahan pe chaaron taraf hai suragh raston ka
par iKHtiyar koi rah dekh kar kije
ye shahr-o-koh-o-bayaban-o-dasht-o-dariya the
ab aage KHwab hai ruk jaiye basar kije
bane the KHak se hum ko qayam karna tha
hawa hain aap uDa kijiye safar kije
hum apne ahd-e-tamanna pe ab bhi qaem hain
zara sharik-e-tamanna ko bhi KHabar kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.