rah-e-hasti mein ek aisa bhi maqam aata hai
rah-e-hastī meñ ik aisā bhī maqām aatā hai
be-irāda hī zabāñ par koī naam aatā hai
dil samajh kar maiñ uThā letā huuñ reza-reza
TuuT jaatā hai jo sāġhar mire kaam aatā hai
roz kuchh shaġhl nikal aatā hai dīvāne kā
roz kuchh kū-e-malāmat se payām aatā hai
pā-ba-zanjīr sahī ābla-pā.ī kā junūñ
har nafas tazkira-e-manzil-o-gām aatā hai
faash jab hotā hai rāz-e-hunar-e-sayyādī
ik nayā silsila-e-dāna-o-dām aatā hai
dil machal jaatā hai ik shāhid-e-mahmil ke liye
husn-e-bebāk to aksar lab-e-bām aatā hai
rah-e-hasti mein ek aisa bhi maqam aata hai
be-irada hi zaban par koi nam aata hai
dil samajh kar main uTha leta hun reza-reza
TuT jata hai jo saghar mere kaam aata hai
roz kuchh shaghl nikal aata hai diwane ka
roz kuchh ku-e-malamat se payam aata hai
pa-ba-zanjir sahi aabla-pai ka junun
har nafas tazkira-e-manzil-o-gam aata hai
fash jab hota hai raaz-e-hunar-e-sayyaadi
ek naya silsila-e-dana-o-dam aata hai
dil machal jata hai ek shahid-e-mahmil ke liye
husn-e-bebak to aksar lab-e-baam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.