rah-e-hayat mein aisa bhi haal hota hai
rah-e-hayāt meñ aisā bhī haal hotā hai
ḳhushī kisī ko kisī ko malāl hotā hai
jo baañT letā hai auroñ kā dard hañs hañs kar
haqīqatan vo bashar bā-kamāl hotā hai
ġhurūr kartā hai nāhaq tū apnī hastī par
uruuj vāloñ kā aksar zavāl hotā hai
jo zulm sahtā hai lekin zabāñ se kahtā nahīñ
us aadmī kā to jiinā muhāl hotā hai
sañbhal sañbhal ke maiñ us jā pe paañv rakhtā huuñ
jahāñ bhī apnī anā kā savāl hotā hai
phaTe libās pe jo log hañs rahe haiñ 'samar'
batā do un ko ki gudḌī meñ laal hotā hai
rah-e-hayat mein aisa bhi haal hota hai
KHushi kisi ko kisi ko malal hota hai
jo banT leta hai auron ka dard hans hans kar
haqiqatan wo bashar ba-kamal hota hai
ghurur karta hai nahaq tu apni hasti par
uruj walon ka aksar zawal hota hai
jo zulm sahta hai lekin zaban se kahta nahin
us aadmi ka to jina muhaal hota hai
sanbhal sanbhal ke main us ja pe panw rakhta hun
jahan bhi apni ana ka sawal hota hai
phaTe libas pe jo log hans rahe hain 'samar'
bata do un ko ki gudDi mein lal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.