rah-e-hayat mein aise maqam bhi nikle
rah-e-hayat mein aise maqam bhi nikle
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
rah-e-hayāt meñ aise maqām bhī nikle
jahāñ bhaTakte hue sub.h-o-shām bhī nikle
'ajīb chiiz hai nazroñ kī puḳhta-gīrī bhī
jo puḳhta-kār bahut the vo ḳhaam bhī nikle
mire laboñ pe tirā naam hai to lutf hī kyā
tirī zabāñ se kabhī merā naam bhī nikle
ye kyā ki furqat-e-paiham hī zindagī ban jaa.e
kabhī to rāh-e-salām-o-payām bhī nikle
tamām raat jahāñ mai-kashoñ kā majma' thā
vahīñ se zāhid-e-sad-ehtirām bhī nikle
mudām piite raheñ chand log hī saaqī
tirī taraf se kabhī izn-e-‘ām bhī nikle
banā liyā hai jahāñ aadmī ne jāda-e-ḳhās
usī kī samt koī rāh-e-‘ām bhī nikle
kiyā jo ġhaur tirī be-karāñ tajallī par
to dil ke saath ka.ī aur maqām bhī nikle
kisī ke bas meñ nahīñ kāmyābī-e-manzil
jo sust-rau the vahī tez-gām bhī nikle
isī liye to huuñ pāband-e-mai-kada 'maikash'
usī kī shaam se ab sub.h-e-bām bhī nikle
rah-e-hayat mein aise maqam bhi nikle
jahan bhaTakte hue subh-o-sham bhi nikle
'ajib chiz hai nazron ki puKHta-giri bhi
jo puKHta-kar bahut the wo KHam bhi nikle
mere labon pe tera nam hai to lutf hi kya
teri zaban se kabhi mera nam bhi nikle
ye kya ki furqat-e-paiham hi zindagi ban jae
kabhi to rah-e-salam-o-payam bhi nikle
tamam raat jahan mai-kashon ka majma' tha
wahin se zahid-e-sad-ehtiram bhi nikle
mudam pite rahen chand log hi saqi
teri taraf se kabhi izn-e-‘am bhi nikle
bana liya hai jahan aadmi ne jada-e-KHas
usi ki samt koi rah-e-‘am bhi nikle
kiya jo ghaur teri be-karan tajalli par
to dil ke sath kai aur maqam bhi nikle
kisi ke bas mein nahin kaamyabi-e-manzil
jo sust-rau the wahi tez-gam bhi nikle
isi liye to hun paband-e-mai-kada 'maikash'
usi ki sham se ab subh-e-baam bhi nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.