rah-e-hayat mein bas wo qadam baDha ke chale
rah-e-hayāt meñ bas vo qadam baḌhā ke chale
diye lahū ke sar-e-rāh jo jalā ke chale
guloñ ko pyaar kyā aur gale lagā ke chale
chaman meñ ḳhāroñ se dāman na ham bachā ke chale
patā chalā na masāfat kā pā ga.e manzil
qadam se jab bhī qadam dosto milā ke chale
nahīñ haiñ vāqif-e-asrār-e-lazzat-e-manzil
jo rāh-e-shauq se kāñTe haTā haTā ke chale
hazār ḳhaar haiñ dāman ko thāmne vaale
hamāre haath se āñchal jo tum chhuḌā ke chale
vo guzreñ shauq se be-ḳhauf o be-ḳhatar 'sāġhar'
dikhā ke rāsta manzil ko ham batā ke chale
rah-e-hayat mein bas wo qadam baDha ke chale
diye lahu ke sar-e-rah jo jala ke chale
gulon ko pyar kya aur gale laga ke chale
chaman mein KHaron se daman na hum bacha ke chale
pata chala na masafat ka pa gae manzil
qadam se jab bhi qadam dosto mila ke chale
nahin hain waqif-e-asrar-e-lazzat-e-manzil
jo rah-e-shauq se kanTe haTa haTa ke chale
hazar KHar hain daman ko thamne wale
hamare hath se aanchal jo tum chhuDa ke chale
wo guzren shauq se be-KHauf o be-KHatar 'saghar'
dikha ke rasta manzil ko hum bata ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.